
15. 4 April
Junge Muta – Ye Jung 8 hijri me Madina se bahut door (Baitul Muqaddas ka safar yaha se 2 din ka tha) Aap saw ki zindagi me lari jani wali sabse khunrez maarka tha. Abtak jitni bhi jange hui thi wah Arab me hi horahi hti lekin ye Jung Arab se bahar Rum ke badshah se hui. Us waqt dunya me do bari bari taqat thi Faras (iran) ka Khusru Parwez aur Rum ka Badshah. Aur ye Jung Superpower Rum ke sath hti. Isme Aap saw 3,000 sahaba ke sath Zaid bin Harsa ra ko sippasalaar banakar rawana kya Aap saw ne kaha agar Zaid qatal kar dye jaye to Jaafar ra sippasalar honge aur Jaafar bhi shahid ho jaaye to Abdullah bin Rawaha ra sippasalar homge. Aap saw ne wasiyat ki pahle Islam ki dawat dena agar qubool kare to thik hai, nahi to Alah se madad mange aur Allah ke naam se Jihad kare aur Bad-Ahdi na karma, khyanat na karma, aurto bachho aur bahut boorha admi aur girja me rahne wale jinko dunya se koi matlab nahi. Unhe qatal na karma. Khujoor aur koi darakht na katna aur kisi imarat ko na girana. Zaid bin Harsa ra 3,000 logo ke sath barhe aur raste me qyam kya wahi Jasuso ne khabar di ke thori door par hi Rum ka badshah ek lakh fauj ke sath khara hai aur Arab qabile ke ek lakh log bhi uske sath hai total 2 lakh. Zaid ra waha meeting karte hain ki 3,000 log 2 lakh se kaise larenge isi tarah 2 din aur 2 rat guzar gayi. Aakhir me ye faisla hua ki hum larenge aur ya to jeetenge ya shahid ho jayenge. Islami lashkar aage barhi aur Muta ke maqam par qyam kya aur yahi par jung hui. Fauj ko sajaya gaya. Islami lashkar ka Alam (Jhanda) Hazrat Zaid ra ke hath me tha aur bejigri se lare aur shahid ho gaye unke baad Alam (Jhanda) Hazrat Jaafar ra lye. Aur larayi kye larte rahe larte rahe yaha tak ki unka dahina hath kat gaya unhone Alam baya hath me lya aur fir baya hath bhi kat gaya aur shahid ho gaye unke jism par 50 se zyada zakha aye aur sab zakham samne se tha peechhe se nahi. Ab Alam (jhanda) Abdullah bin Rawaha ra ne lya jaisa ki Aap saw pahle hi bata dye the. Uske baad wah bhi shahid ho gaye. Uske baad Sabit bin Arqam ra Jhanda lekar kaha Musalmano Apna kisi aadmi ko sippasalaar bana lo. Sahaba ra ne kaha ye kaam Aap hi kare Sabit ra kahe ye kaam mai nahi kar sakta. Fir Musalmano ne Hazrat Khalid bin Walid ra ko Sippasalaar banaya. Aur unhone us din jamkar larayi ki. Aur larte larte unke hatho me 9 talware tooti. Intehayi shujaat aur aur bisasat aur Jaanbazi ke bawajud ye baat barii taajub wali thi ki 2 lakh ka muqabla sirf 3,000 fauj jo fauj bhi nahi balki sahaba kar rahe the jinhe larne ki training nahi di gayi thi.
16. 5 April
Is nazuk marhale me Hazrat Khalid bin Walid ra Musalmano ko bachane kelie apni maharat aur hunar mandi ka muzahra kya. Agar apni fauj ko peechhe hatate to wahlog pichha karte aur bachna mushkil hota. Islie ek chal chali doosre din Khalid ra ne fauj ko change kar dya. Aage ki fauj ko peechhe, peechh ko aage aur har taraf se change kya jis se dushman ko laga ki koi inko madad kar raha hai ya inki aur fauj aagayi hai. Aur kuchh der ki jharap ke baad Khalid ra ne Islami lashkar ko peechhe hatana shuru kye aur Rumyo ne peechha nahi kya wah samjhe ke Musalman koi chal me hame fansa rahe hai aur iske natije me Khalid bin Walid ra ne Islami lashkar ko bachakar Madina le aaye. Is Jung me 12 Musalman shahid hue aur Rumi log bahut mare gaye iska andaza is se hota hai ki Khalid bin Waid ra ke hath me 9 talware tooti thi. Is jung se Musalmano ki shuhrat dunya bhar me hone lagi aur Arab ke mushrik hairan the ki ye 3,0000 log 2 lakh fauj ka muqabla kaise kar rahe hai aur iske natije me Islam ko sachha jaankar bahut sare Arab qabile Islam late hai. Aap saw Madina me the aur jung ki halat maloom na thi islie Allah ne Jibril as ko bheja aur Jibril as Jung ki halat Aap saw ko bata rahe the ki Jhanada abhi Zaid ke hath me hai aur wah shahid hogaye isi tarah Jaafar aur Abdullah bin Rawaha ra bhi shahid ho gaye Aap saw ki Aankho me aansu thi yaha tak ki Jhanda Allah ki talwar me se ek talwar (Khalid bin Walid ra) ne li aur Allah ne fath di.
Gazwa Fathe Makkah – 8 Hijri me Makkah fath hua. 6 hijri me jo Sulah hui thi usko Makkahwalo ne tor dya Lekin fiir Makkah se Abu Sufyan is sulah ko wapas qayem karne kelie Madinah aya Abu Sufyan ki beti Umme Habiba ra Musalman ho gayi thi aur Aap saw ki biwi thi Abu Sufyan sidha apni beti ke ghar gaya aur bistar par baithna chaha to Umme Habiba ran e bistar lappet dya. Abu Sufyan puchha ki aisa kyun kya. Kya ye bistar mere laiq nahi hai ya mai is bistar ke laiq nahi hu. Umme Habiba ra ne kaha ye Rasoolullah saw ka bistar hai aur is par Aap nahi baith sakte Aap napak hai mushrik hai. Fir Abu Sufyan Aap saw se baat kya Aap saw koi jawab na dye. Aur Aap saw ne jung ki tayyari shuru kar di. Aur Jung kelie 10,000 sahaba ke sath 10 ramazaan 8 hijri ko nikal pare. Aap saw aur Sahaba roze se thhe lekin raste me ek chashma ke paas Aap saw ne shayed Asar ke waqt roza tor dya aur sab sahaba ra ne bhi tor dya. Makkah ke qarib pahuch kar qyam kya aur raat me Aap saw sab ko alag alah chulha jalane kelie kaha. 10,000 chulhe jalaye gaye. Aur Makkah walo ko kuch bhi khabar na thi. Lekin Abu Sufyan hamesha Makkah se bahar aakar khabargiri karte rahta thha. Aur raat me itne sare aag dekhkar wah kaha ke aajtak maine itni bari lashkar nahi dekhi hai. Wah pata lagaya ye kaun log hai aur use maloom hua ki ye Muhammad saw aur unke sathi hai.
17. 6 April
Abu Sufyan Hazrat Abbas ra (joki kucch din pahle iman late hai) ke sath jate hai aur Islam qubool kar lete hai. Aur Aap saw Makkah walo ko jo Abu Sufyan ke ghar chala jaye use amaan de dete hai aur jo andar se darwaza band kar le uske lie aur jo Khane Kaabah me chala jaye uske lie amaan hai. Iske baad Abu Sufyan Makkah jate hai aur khabar dete hai ke Muhammad saw bahut bari lashkar ke sath aarahe hai jinse larne ki taqat tumhare paas nahi. Lahaza jo bhi mere ghar me chala jaye uske lie amaan hai aur jo khane kabah me chala jaye aur jo apne ghar ko andar se band kar le uske lie amaan hai. Aap saw ne fauj ko tartib dya aur 3 hisso me baant dya. Ek ka sippasalr Khalid bin Walid ra 2re ka Zubair bin Awwam ra ko aur 3re ka Abu Obaidah bin Jarrah ra ko banaya. Aur 3no ko 3 taraf se dakhil hona tha. Khalid bin Walid ke daste se Mushrik Makkah se jharap hui aur 12 mushrik mare gaye aur Makkah walo me bhagdar mach gayi. Aur 3no daste Makkah me dakhil ho gaye. Thori si jharap hui aur Makkah fath ho gaya Aap saw apne sathyo ke sath Khane kaaba h me gaye hajre aswad ko chuma aur tawaf kya. Aap saw ke hath me ek lathi thi us se sare but 360 but jo Khane Kaabh me the sab ko tor dya inme Hazrat Ibrahi m as aur Ismayil as aur doosre nek logo ke bhi butt rakhe the Aap saw ne sabhi 360 butto ko 17:18 “Haq agaya aur Batil mitne kelie tha” & 34:49 “Haq aagya aur Batil khatm ho gayi” ye ayat parte hue tor dya Aap saw ke hukm se Khane Kabah ko khola gaya andar Ibrahim as aur Ismayil as ke taswir the aur bhi bahut si taswire thi sab ko khatam kya gaya. Aur tamam logo se mukhatib hokar zaat, bradri, unch, nich ko khatm karte hue ye ayat 49:13 tilawat farmayi “Ay Logo! Humne tumhe 1 mard aur 1 aurat ki jori se paida kya aur tumhe qaum aur qabilo me taqsim kar dya taaki tum ek doosre ko pahchan sako. Tum me se Allah ke nazdik sabse qarib wah hai jo sabse zyada nek hai” aur uske baad Makkah ke tamam logo ko maaf kar dya aur Makkah bahut logo ne Islam qubool kya fir Khane Kaabah par charhkar Hazrat Bilal ra azan dye Lekin Aap saw 9 logo ko maaf nahi kya aur kaha ki ye 9 log jaha bhi mile unhe qatal kar dya jaye. Inme se baad me 5 logo ko bakhsh dya aur ye Islam qubool kye 4 log qatal kar dye gaye. 2re din Aap saw Khane kaabh me khutba dya aur elaan kya ki ye hurmat ki jagah hai (yai yaha kisi ko khoon kharaba jayez nahi). Lekin Allah ne mujhe thori muhlat di thi lekin ab ye fir se hurmat wali jagah hai. Iske baad agar koi kisi ko qatal karega to use uske badale me qatal kar dya jayega ya use dait dena hoga. Aur Aap saw tamam logo se bait lete hai ki Shirk na karoge, chori na karoge, Zana na karoge, Buhtan na lagaoge, acchi baat me meri nafarmani nahi karoge. Iske baad aurto se se bait lye lekin kisi aurat ka hath apni hath se touch na kye aur kahe ki shirk na karogi, aur jo mardo se kahe the. Aap saw Makkah me 19 din there aur Aas paas ke bare bare buto ko Sahaba ra ko bhejkar turwa dye. Fathe Makkah ke baad Aap saw puri tarah azad the aura b kisi taraf se koi zyada dar nahi tha
18. 7 April
Gazwa Hunain – Ye jung 8 hijri me 6 shawwal ko hui. Fathe Makkah ke baad aksar qabile ke logo ne Islam qubool kya lekin kuch qabile jo zyada aryal aur hatdharam the unlogo ne Musalmano ke khilaf larne ka plan kya Aap saw neb hi tayyar ki aur Musalman lashkar 12,000 thi. Itni bari tadad ke wajah se sahaba ne kaha ki “Aaj hum hargiz haar nahi sakte” ye baat Aap saw ko buri lagi. Islami lashkar 10 shawwal ko Hunain pahuchi Lekin dushman fauj waha pahle hi se chhup kar baithi thi aur Musalamno par teero ki barsat shuru ho gayi. Sare Musalamn bhagne lage aur bahut zor ki bhagdar mach gayi Bhagdar ke wajah se naye naye Musalman ghabra gaye aur sab log be tahash bhag rahe the Aap saw ne unhe pukar kar apni taraf bulaya jab 100 admi jama ho gaye to Aap saw dushman se Muqabla shuru kar dye aur dekhte dekhte ghamsan ki jung shuru ho gayi Fir Aaps saw 1 mutthi mitti lekar dua karke dushman ki taraf fenke jo sare dushman ke aankho me pari aura b surat haal badalne lagi aur Musalmano Allah ne fath dedi. Aur Mushrikin bhagne lage aur 3 taraf bhage Muslamano ne 3no taraf peechha kkya ek taraf khud Aap saw apne sahaba ra ke sath peechha kye. Is ke bare me Allah Quran me farmate hain. 9:25&26 “Aur Allah ne Hunain ke din tumhari madad ki jabki tumhe tumhari kasrat ne guroor me dal dya tha aur wah tumhe kaam na aayi aur zamin kushadah hone ke bawajud tum par tung ho gayi aur tumlog peeth fer kar bhagne lage. Fir Allah ne Muminoon par sukun nazil kya aur aisa lashkar nazil kya jise tum ne nahi dekha (Farishto ka lashkar) aur kufr karne walo ko saza di aur kafiro ka yahi badla hai”.
Gazwa Tabuk – Ye 9 hijri me hua. Ab halat ye thi ki Arab ke sare qbile se khatra khatm ho chukka tha. Leki ab ek taqat bilawajah Musalmano ko chher rahi thi wah taqat hti Rum ki Isaiyon ki. Aur un se 1 jung Jung-e-Mauta pahle ho chuki thi. Rum ka badshah Musalamano se bara khatra feel kar raha tha aur soch raha tha ise waqt se pahle hi kar dya jaye iskelie us ne Arab ke logo ka ek bara lashkar tayyar kya. Aur iski khabar Aap saw ko barabar ho rahi thi. Aur Aap saw ko barabar khatka laga rahta tha aur Aap saw apni biwyo se naraz hokar alag ho gaye the. Iski wajah ye bhi thi Rum ka jo khatra hai uskelie achhe se tayyari ki jaye. Aur Munafiqin ka bhi khatra laga rahta tha jo mauqa milte hi Musalamno ka nuqsan karne ki sochte the. Aur ab ek masjid bhi banaye aur us Masjid se wah log Musalmano ke khilaf propaganda karte. Jise Aap saw ne is Gazwa ke baad dhha dya tha. Rum ka Badshah 40 hazar ka bara lashkar tyyar kyat ha aur mausam garmi ka tha log tangdasti aur qahat me mubtala the aur abhi larayi na chahte the.
19. 8 April
Lakin Aap saw samajh rahe the ki agar abhi susti hui to ye log barh kar Madina tak aajayenge aur Arbon ki madad karke hamare lie ek khatra bana denge. Iskelie Aap saw ne Jung ki tayyari ka elaan kar dya. Allah ne bhi Quran ki aayte nazil karke Musalmano ko jung kelie ubhara aur apni pyari chiz ko Allah ke raste me kharch karne kelie kaha. Jung kelei ahr taraf se Musalman Madina me aane lage sawari kam parne lagi. Iska zikr 9:92 “Mai tumhe sawar karne kelie kuchh nahi pata to wah is hala tme wapas hote ki unke aankho me aansu hote” Isi tarah Musalmano ne Allah ke raah me apna maal bhi bahut kharch kye aur ek doosre aage nikal jane ki koshish ki. Hazrat Abu Bakr ran e apna pura maal jung kelie de dye. Hazrat Umar ne apna maal se adha maal dya. Hazrat Usman ra jung kelie sarhe 5 kilo sona aur 29 kilo chandi dya aur 900 oont aur 100 ghore dye. Aap saw ne farmaya agar Usman ab kuch na bi kare to unkelie jannat hai. Aur sab sahab ne apna bahut maal is jung kelie dye. Aurto neb hi apne gahne dye. Sirf Munafiq log Jung se bachne ki koshish karte rahe aur maal kharch karne walo ko tana dete kahte ye dikhawa kar raha hai. Iska zikr 9:79 me hai. Aap saw 30 hazar sahaba ko lekar Jung kelie nikle. Sawari ki kami thi 18 admi par 1 oont tha jispar log baar baari se sawar hote. Raste me paani ki sakht kami hui
4 Comments
fine
wonderful post
beautiful