
Hazrat umar ra se muqable ki koi jur’at na karta tha. Islie inke islam lane se Mushrekin me kohram mach gaya. Aur Islam ko in se bari quwat izzat mili. Jab koi Musalan hote to unhe mushrekin bahut satate marte pitte. Hazrat Umar kahte hai ki jab mai musalman hua to sabse pahle Islam ke sabse bara dushman Abu Jahal ko uske ghar jake bataya ki “Mai musalman ho gya hu jo karma hai kar lo”. Hazrat Umar ra ne Aap saw se poochha ki kya hum haq par nahi? Aap saw ne kaha Khuda ki qasam! humlog haq par hai. Hazrat Umar ra ne kaha fir chhupna kaisa. Us zaat ki qasam jisne Aap saw ko haq ke sath bheja hai Hum zaroor bahar niklege. Lahaza sab sahaba karam do line me bahar nikle ek line me Hazrat Hamza aur 2re line me Hazrat umar the. Aur Khane kabah me dakhil ho gaye. Makkah walo ko aisi chot lagi ki is se pahle kabhi nahi hua tha. Usi din Aap saw ne Hazrat Umar ko Farooq ka laqab dya. Aur unka naam Hazrat Umar Farooq ho gaya. Iske baad Makka wale Aap saw se baat karte hai aur is kelie Utba aya. Aur Aap saw se kaha. Bhatije, Hamari qaum me jo tumhara martaba wa maqam hai aur jo tumhare khandan ki izzat hai wah tumhe malum hai. Lekin tum jo bara mamla lekar aye ho jiski wajah se jhagre ho raha hai islie mai tumhe kuch bat kar rahau hu gaur se suno. Agar tum maal hasil karna chahte ho to humlog tumhe itna maal denge ki tum sabse maaldar ho jaoge. Agar tum martaba chahte ho to hum tumhe apna sardar bana lege. Agar tum badshah banna chahte ho hum tumhe bashah bana lege. Aur jo tumhare paas jinn bhoot ata hai uska ilaja karadege chahe jitna bhi kharch ho. Jab wah kah chukka to Aap saw ne farmaya. Ab meri suno aur Aap saw ne 41:1se5 parhi. Aur baad me age 41:38 tak parhe. Utba makkawale se kaha ki aisa kalam suna hai ki is se pahle kabhi nahi suna.meri baat mano aur isko apne hal pe chhor do. Makkawale ne kaha aap par bhi jadu chal gya hai. Lekin Abu Talib ko Makkawale ki khatra hamesha feel ho raha tha Abu Talib ko barabar dhamki mlil rahi thi unhe aisa lagraha tha ye log mere bhatije ko qatal kar dege Islie Abu Talib sare ghar walo ko jama karte hai aur kahte hai ki ab tak mai akele Muhammad ka sath de raha hu tumlog bhi iska madad karo sath do.to sare rishtedar log chahe Muslim ho ya kafir Aap saw ka sath dene ka wada karte hai lekin is me Abu Lahab razi nahi hota uar wah Mushrekin Makka ke taraf se rahta hai.
Sirf 4 hafte me Makkawalo ko bare bare dhachke lag chuke the. Hazrat Hamza ra Iman laye, Hazrat Umar ra Iman laye. Quraish ki bat Aap saw ne na mani. Aur sare gharwale sath dene ka wada lya. Is se wahlog chakra gaye. Kuki unki samajh me agya tha ki agar unho ne Aap saw ki qatal ka qadam uthaya to bahut zyada khoon bahega islie qatal ka mansuba chhorkar zulm ki ek nayi raah tajwiz ki. Iske mutabiq Mushrekin ne Aap saw aur unke gharwalo ke khilaf ek dastawiz banayi ki hum log Aap saw aur unke gharwalo se shadi nahi karenge, kharido farokht nahi karenge unse mel jol na rakhenge unke gharo me nahi jayenge unse baat na karenge jab tak wahlog Aap saw ko hawale na karenge. Mushrekeen ne is baat ko ek paper pe likhkar Khane kaabah me latka dya tha jisme is baat ka uhdo paiman tha ki wah bani hashim ke taraf se kabhi bhi sulah na karenge unke sath hamdardi na karenge. Jisne ye likha tha Aap saw ne bad dua ki aur uska hath shil hogya. Natije me Abu Lahab ke siwa Aap saw ke khandan ke sab log shebe abu talib me jama ho gaye. Ye nabuwat ke 7wi sal hua. Is boycott ke natije me halaat bahut kharab ho gaye. Anaj ana band hoigaya kuki mushrekeen use pahle hi zyada qimat dekar kharid lete unhu patte aur chamre khane pare chamre pani me bhigo kar chuste the bachho aur aurto ki rone ki awaz ghati ke bahar sunayi deti thi. Idhar Abu Talib ko Aap saw ka khatra hamesha rahta islie jablog apne bistaro par jate sab so jate to Abu Talib Rasool saw ka bistar badal dete ki aisa na ki koi Aap saw ko qatal karde. Iske bawajud bhi Aap saw Hajj ke dino me bahar nikalte aur tablig karte. Isi tarah 3 sal guzar gaye. 3 sal ke bad ye boycott khatm hota hai tab tak is paper ko deemak kha chuka tha lekin Allah ka naam waise hi tha. Boycott khatm hone ke baad bhi Mushrekin pahle ke tarah roar bane hue the. Abu talib boycott se puri tarah toot chuke the umar bhi 80 ho gayi thi boycott ke baadek sakht bimari me mubtala ho gaye. Makka wale soche agar Abu Talib ke marne ke baad hum Muhammad ko taklif denge to badnaami hogi islie unke zindagi me hi fir se mamla tai karne 25 log aaye.
23 Jan
Ek Aakhri baar fir se Makkahwale Abu Talib ke paas ate hai jinme 25 log the. Abu Talib ne Aap saw se kaha dekho ye log tumhe kuchh kahna chahte hai. Is par Aap saw ne kaha Chacha Jaan! Aap kyu na inhe ek aisi baat ki taraf bulaye jo inke haq me behtar hai. Unhone kaha tum kya kahna chahte ho Aap saw ne kaha ki mai aisi baat ki taraf bulana chahta hu jise agar maan le to pura Arab inke under me ho aur Ajam (Arab ko chhorkar puri Dunya) par Badshahat par qayam ho jaye. Abu Jahal ne kaha achha batao tumhari baat kya hai? Aisi ek kya das baat manne ko hum tayyar hain Aap saw ne farmaya Aaplog “La ilaha illal Laah” kahe aur Allah ke siwa jo pujte hain use chhor de is par Abu Jahal kaha ki kya Sari mabud ki jagah bas ek mabud bana le bas ek mabud. Tumhara mamla bara ajib hai. Fir Apas me bole Khuda ki qasam ye hamari koi baat manne ko tayyar nahi. Chalo apne baap dada ke deen par dat jao. Inke bare me 38:1se 7 nazil hui. Ye Makkah wale Aap saw se kahte ke agar Aap Allah ke rasool hai to nishani dikhaiye inka baat ko Allah tala Quran me naqal karte hai 17:89se95.
24 Jan
Kal jo check kye 17:89se95. Allah isme Mushrekeen Makkah ka qaul naqal karte hain ayat 89 “Humne to is Qur’an me logo ke samajhne kelie har tarah se tamam misale bayan kar di hai lekin aksar log inkar karte hai” Ayat 90 “Unhone kaha (Makkawalo ne) ki Hum Aap par hargiz iman nahi layenge yaha tak ki tum hamare lie zamin se koi chashma na bahao” ayat 91 “ya Aap kelie khajoor aur angoor ka koi baag ho aur aap usme nahre jari kardo” ayat 92 “Ya Aap asman ko hum par tukre tukre kar ke gira de jaisa ki aap ka guman hai ya Allah ko aur Farishto ko hamare samne le aao” ayat 93 “Ya Aap kelie koi sone (gold) ka ghar ho, ya Aap asman par charh jaye, aur hum Aap ke charhne ka bhi yaqin na karenge jab tak Aap waha se koi kitaab na le aaye jise hum khud parh le” Ye sab demand Makkah ke Mushrekeen Aap saw se kar rahe hai ki agar Aap Allah ke rasool hai to ye sab kar ke bataiye ye sab demand kitna sakht sakht kar rahe hai. Ki Agar Aap Allah ke Rasool hai to fir ye sab Mujezah kar ke dikhlaiye. In sab ki Jawab me Allah Quran me farmate hai 17:93 “..., Qul (Kahiye in se) Subhana Rabbi (Mera rab paak hai) hal kunta illa bashara (Mai to sirf bashar hu, yani insan hu) Rasooola (aur Rasool banaya gya hu)” Allah kahte hai Aap kah dije Mai ye sab nahi kar sakta, kyun – Kyunki Mai sirf ek insan hu lekin haa mujhe Rasool banaya gya hai, ayat 94 “Aur logo ko Iman qubool karne se kis chiz ne roka jabki unke pas hidayat aa chuki thi (Makkawalo ne kaha) ki Kya Allah ne ek Admi ko Rasool banaya” ayat 95 “Aap kahye ki agar zamin me farishte hote, chalte firte to Hum unke lie kisi farishte ko hi Rasool banate” Matlab ki is zamin par insan hai islie humne insan ko hi Rasool banaya agar farishte hote to hum kisi farishte ko Rasool banate, ye aayte clear kar rahi ki Aap saw insan the lekin aaj bahut se log is baat ko manne ko taiyar nahi log kahte hai ki wah insan nahi noor thhe.
25 Jan
Abu Talib ki bimari barhti gayi aur unka intaqal nabuwat ke 10wi sal hui Aap saw ki umr 50 sal thi. Abu Talib ke intaqal ke waqt Aap saw tashrif le gaye aur kaha Chacha jaan Aap sirf la ilaha illallah kahye mai bas kalme ki wajah se aapki hujjat Allah ke samne pesh karunga waha par Abu Jahal aur Umayya bin khalf bhi tha unlogo ne kaha Abu Talib kya Apne baap dada ke deen chhordoge. Lagatar baat hoti rahi aakhri jo baat Abu Talib ke muh se nikli wah tha “Abdul Mutallib ke deen par”. Is par Allah tala ne 28:56 nazil ki “Ai nabi Aap jise chahe hidayat nahi de sakte balki Allah jise chahta hai hidayat deta hia”. Aap saw ne kaha mai Abu Talib kelie dua karunga jab tak mujhe na roka jaye to Allah ne 9:113 nazil ki “Nabi aur Iman walo kelie sahi nahi ki mushrekin kelie du akare agarche wah rishtedar hi kyun na ho jabki clear ho chukka ho ki wah jahannami hai” Aap saw se logo ne puchha ki Aap apne chacha ke kya kaam aayenge is par Aap saw ne kaha ki wah Jahannam ke ek chhichhli
6 Comments
good job done thank you
Masha Allah... Bahut hi Achi baten aap ne is ke andar likha hai... Allah aap Jaza wa Khair kare our Eeman & istiqamat ata kare... Ameen
Mash Allah bahot achi post hy keep sharing ...