In Short
Ibrahim as ke 2 bete the Ismayil as aur Ishaq as. Ismayil as rahte hai Makkah me yani Arab me, aur Ishaq as Jerusalem yani Israil me. Ismayil as ke khandan ko Arab kahte hai aur Ishaq as ke khandan ko Bani Israil. Ishaq as ka khandan kabhi Misr me, kabhi Shaam me, kabhi Jerusalem me aur iske aas pas ke ilaqe me rahte the. Inke baad jitney bhi nabi aaye sab ke sab Bani Israil me aaye. Lekin aakhri nabi Muhammad saw Arab me Ismayil as ke khandan se aaye. Aap saw ke ane se pahle Bani Israil ke log Aap saw ka intazar kar rahe the jaise Humlog Isa as ka intazar kar rahe hai. Bani Israil (Yahudi) Arab se kaha karte the ke Ab hamara nabi aanewala hai jo puri dunya badal dega aur sidha rasta dikhayega. Lekin Aap saw Arab me aaye islie bahut sare yahudyo ne Aap saw ke nabuwat ke pahchanne ke bawajud inkar kya. Iske bare me Allah farmate hai 6:20. Ek bar Aap saw ka sasur (yhaudi) aur uska bhai, dono yahudi Aalim Aap saw se milne aye aur Aap saw se sawal kye jiska jawab sirf nabi hi de sakta tha aur Aap saw sab ka jawab de dye Bad me Yahudi Alim apne bhai se aap saw ke bare me puchta hai wah kahta hai “Isme koi shak nahi ye Allah ke nabi hai” usne fir pucha ab hame kya karma hai wah bola “Jab tak hamari jaan me jaan hai inke khilaf bolenge”. Aapsaw ka khandan sabse ooncha tha. Baap ka naam Abdullah, dada ka naam Abdul Mutallib aur pardada Bani Hashim the. Yhai khandan Khane kaaba ke dekh rekh karte the. Us waqt Zamzam ka kunwa kisi badshah ne band kar dya tha. Dada Abdul Mutallib ke khaab me zamin khodne ko kaha jata hai aur ye khaab kai baar dekhe aur khodna shuru kar dya wah akele the islie dua ki “Agar mere 10 se zyada bete ho jo is kaam meri madad kare to mai 1 bete ko Qurban kar dunga” Aur unke 10 se bete paida hue aur madad kye islie 1 ko qurban karne ki bari aayi. Iskelie unh one faal nikala aur Abdullah ka naam nikla. Abdullah ko qurban karne chale, Lekin Abdullah bahut pyare masum bete the islye sab ne unko qurban karne se roka. Lekin wah minnat mane the jise pura karma tha iske lie wah ek “Kaahin” (Jo jhar fuk karte hai) aurat ke paas gaye aur iska hal puchha wah boli ek taraf 10 unt (Camel) ka naam kagaz pe likho aur doosri taraf Abdullah ka naam. Aur chit nikalo agar Abdullah ka naam aye to fir se karo jab tab unt ka chit na aye. Chit me Abdullah ka naam aya aur 10wi baa runt ka naam nikla is tarah unhone 100 oont qurban kye aur Abdullah ko bacha lya. Aur is tarah Abdullah kafi famous hue aur unki shadi Yasrab (Madina ka old naam) me unche khandan ki larki Amna se ho gayi. Isi saal ek badshah Abraha apni lashkar ke sath Makkah par khane Kabah ko dhane kelie hamla kya aur Makkah ke log chhup gaye. Abdul Mutallib bhi chhorkar pahari me chhup gaye. Abraha Makkah se thori dur lashkar ko ayyar karne kelie ruka uske sath bahut se hathi bhi tha jab Khane Kabha ke taraf ane chahta tha to to hathi nahi utha. Bahut koshihs kya lekin hathi Khana Kabah ki taraf na arahe the iske opposite ja rahe the lekin Khana kabah ke taraf nahi. Usi waqt Allah ne Ababil chirya ko bheja jiske paas 3 kankari thi wah lashkar par girati jiska asar goli se bhi zyada tha bhagdar much gayi aur hathi idhar udhar bhagne lage aur sab log bikhar gaye Badshah Abraha bhi wapas chala aur raste me uski maut ho gayi. Ye waiqa Aap saw sw paidayish se 40 ya 50 din pahle ka hai.
Aap saw ki paidayish 9 ya 12 Rabiul Awwal ko somwar ko hui Paidayish ke din kaha baaz riwayat ke mutabiq kuchh ajab waqiat hue Badshah kisra ke 14 kangure gir gaye, majus ka Aatishkada thanda ho gaya, girje gir gaye lekin Imam gazali ne ise gala kaha hai. 7wi din Aap saw ka khatna hua aur naam Muhammad aur Ahmad rakha gaya. Arab ka dastur tha shahri bimari se door rakhne ke lye gaon ki doodh pilane wali aurto ke sath bhej dya karte the taaki unke jism mazboot ho aur pure Arbi zuban sikh sake. Aur Aap saw ko bhi ek aurat Halima ke de dya gaya. Is dauran Halima ne barkat ke aise aise manazir dekhe ke hairat me rah gayi. Hazrat Halima khud kahti hai ke wah apne shauhar ke sath ek chhota sa doodh pita bachha lekar doodh pine wale bachho ke talash me nikli, ye qahat Sali ka saal tha aur kuchh baqi na tha. Mai apni ek gadhi par sawar thi aur ek ootni bhi thi lekin usme se ek qatra doodh na nikalta tha aur na mere sine me kuchh tha. Bachha bhook se rat bhar na sota tha. Gadhi ki kamzori ke wajah se hum qafle me sabse pichhe the. Aap saw ko sari aurto ko pesh kya gaya lekin koi bhi yatim hone ke wajah se na li. Sari aurto ko bachha mil gaya lekin mujhe koi bachha na mila islie maine Muhammad ko le li. Halima kahti hai ke Muhammad ko lene ke baad mere sine se doodh umand pare aur dono bachhe pet bhar ke doodh pye aur aram se soye is se pahle hum apne bachhe ke sath so nahi sakte the. Subah me mere shauhar ootni doohne gaye to bahut doodh aya jis se hum dono pet bhar kar pye. Uske baad qafila rawana hua. Wahi gadhi jo sabse pichhe thi ab sabse aage thi. Aur ghar me har taraf barkat hi barkat hone lagi. 2 sal bad wapas karne Makka aayi lekin Makka me bimari faili thi islie zid karke wapas se apne ghar le gayi. Paidayish ke 4tha ya 5wi saal shaqqe sadr ka waqia hua. Jibril as Aap saw ke paas aaye aur sina chir kar dil nikala aur dil se ek lothra jis se insan burayi karta hai nikal dya. Aur dil ko zamzam se dhoya aur wapas sine me rakh dya aur danishmandi, hikmat, shujat aur bahudri dal kar use pack kar dya. Iski khabar Halima ko hui aur wah dar gayi aur Makkah unki maa Amna ke paas le aayi. Aur iske bad 6 sal ki umr tak apni maa ke sath rahe.
Aap saw dunya ko chhorkar akele Allah ki ibadat apne tariqe se ek gaar me karne lage iska naam Gaar-e-Hira hai ye Makkah se 2 km dur hai aur yaha aap khana lekar aate aur kai kai din tak yahi rahte jab khana pani khatm ho jata to ghar jate aur fir se khana pani lekar chale ate is tarah aap saw waha 3 saal se the jab uske baad Jab Aap saw ki umr 40 hui to ek raat ko Gaare Hira me Jibril as ate hai aur kahe “Iqra” Parho. Aap saw ne kaha mai parhna likhna nahi janta Jibril as ne Aap saw ko gale se lagakar zor se dabaya aur kaha “Iqra” Parho, Aap saw ne fir kaha Mai parna likhna nahi jaanta, Jibril as 2ri bar gale lagakar zor se dabate hai aur kahe “Iqra” Parho Aap saw ne fir wahi jawab dya Mai parhna likhna nahi janta Jibril as ne 3ri baar fir se gale lagakar aur zor se dabaya aur kahe “Iqra bisme rabbikal lazi khalaq” Aap saw samajh gaye ki dohrane kelie kah rahe hai to Aap saw ne kaha “Iqra bisme rabbikal lazi khalaq” Jibril as kahe “Khalaqal insane min alaq” Aap saw dohrate hai “Khalaqal insane min alaq” Jibril as ne kaha “Iqra wa rabbukal akran” Aap saw ne kaha “Iqra wa rabbukal akram”, Jibril as kahte hi “Allazi allama bil qalam” aur Aap saw dohrate hai “Allazi allama bil qalam”. Ye suru ki 5 aayte hai jo sabse pahle naazil hui ye Quran me surah 96 hai ayat 1 se 5. 96 :1se5. Iske baad Jibril as chale gaye Aap saw ka dil dharak raha tha aur dar se kaanp rahe the sidha ghar aaye aur kaha mujhe chadar urha do aur sab bate apni biwi Hazrat Khadija ra ko bataye. Khadija ra ne Aap saw ko tasalli di aur kaha ki Aap sila rahmi karte hai , kamzoro ko madad karte hai yatim miskin ka khyal rakhte hai Allah Aapko barbad nahi karega. Iske baad Khadija ra apne chachere bhai Warqa bin nofil ko batate hai jo isayi alim the Warqa ne kaha ye to
3 Comments
thank you
Great post, interested,but in punjabi..If in english more better for all fans. Good job.Thanks of sharing.
can u translate this